Muhabbat diary
hargiz nahee hai
Jis mein tum likho
Ke kal kis rang ke
kapre pehan'ne hain
Koun si khushboo
lagaani hai
Kissay kya baat
kehni, aur kya baat chupaani hai
Kahaan kis paiR ke
saye talay milna hai?
Milkar poochna hai
Kya tumhein mujh
se muhabbat hai
Yeh farsooda sa
jumla hai
Magar phir bhi yeh
jumla
Dareechoon,
Aanganoon, Sarkoon, Gali kochoon mein, Chaubaroon mein
Chaubaroon ki
tooti seerhiyon main
Har jaga koi kisi
se keh raha hai
Kya tumhein mujh
se muhabbat hai
Muhabbat diary
hargiz nahee hai
Jis mein tum likho
Tumhein kis wakt,
kis jagha, kis se milna hai, kis ko chor jaana hai
Kahaan per kis
tarha ki guftugoo karni hai ya khamoosh rehna hai
Kis ke saath kitni
door tak jaaana hai aur phir kab lout aana hai
Kahaan aankhein
milaana hai kahaan palkein jhukaana hain
Ya yeh likho ke ab
ki baar jab woh milne ayega
Tu us ka haath
apne haath mein lekar
Dhanak chehray pe
roshan jagmagati raqs karti uski aankhoon mein uttar jeyenge
Aur phir
gulshan-o-sehra ke beecho beech dil ki saltanat mein khaak uraayenge
Bohut mumkin hai
woh ujlat mein aaye
Aur tum us ka
haath haathoon mein na le paoo
Na aankhoon hi
mein jhaankoo, aur na dil ki saltanat ko fatah kar paoo
Jahaaan per
guftugoo karni hai, tum khamoosh hojao
Jahaan khamosh
rehna hai, wahaan tum bolte jaoo
Naee kapre pehan kar
ghar se niklo, mailay hojao
Koi khushboo
lagane ka iraada ho, tu sheeshi haath se gir jaye
Tum weeran hojao
Safar karne se
pehle, be sarr-o-samaan hojao
Muhabbat diary
hargiz nahee hai, aab joo hai
Jo diloon ke
darmeyaan behti hai, khushboo hai
Kabhi palkoo pe
lehraee, Tu aankhein hansne lagti hain
Jo aankhon mein
uttar jaye tu Manzar aur pas manzar mein Shamaein jalne lagti hain
Kisi bhi rang ko
choo lo
Wohi dil ko
gawaara hai
Kisi mitti mein
ghul jaye
Wohi mitti sitaara
hai
Muhabbat diary hargiz nahee hai
No comments:
Post a Comment